Tuesday 24 December 2013

Sunni Alim ka doran e taqreer Shandar Inteqal



Sunni Alim ka doran e taqreer Shandar Inteqal by GhulameAwliya 


SUBHA TAYBAA MEIN HUWEE BAT-TAA HE BAARA NOOR KAA Subha Taybaa mein huwee bat-taa he baara Noor ka Sadqa lene Noor ka aaya he taara Noor ka Baagh-e Taybaa mein Suhaana phool phoola Noor ka Mast boo hai bulbule parti he Kalma Noor ka Baarahween ke Chaand ka mujraa he Sajdah Noor ka Baarah Burjon se Jhukaa ik ik Sitaara Noor ka Aayee Bid’at chaayi zulmat rang badlaa Noor ka Maahe Sunnat mahr-e Tal’at le le badla Noor ka Tere hi Maathe rahaa ay jaan Sahraa Noor ka Bakht jaaga Noor ka chamkaa Sitaara Noor ka Mein Gadaa Tu Baadshah bhar de piyaala Noor ka Noor din duunaa teraa dedaal Sadqa Noor ka Taaj Waale dekh kar tera Imaama Noor ka Sar jhuka te hain Ilaahi bol baalaa Noor ka Sham’a dil mishkaat tan Seenaa zujaajah Noor ka Teri Soorat ke liye aayah hai Surah Noor ka! Too he Saayaa Noor ka har ‘uzw tukra Noor ka Saaye ka Saaya na hota hai na Saaya Noor ka! Teri Nasl-e Paak mein he Bachcha Bachcha Noor ka Too he ‘ayn-e-noor tera sab Gharaana Noor ka! Chaand jhuk jaata jidhar Unglee uthaate Mahd mein Kyaa hi chaltaa thaa Ishaaron par Khilawnaa Noor ka Ay RAZA ye Ahmed-e Noori ka Fayz-e Noor hai Ho gayee meri Ghazal bar kar Qaseeda Noor ka!

No comments:

Post a Comment